Jab dahr ke gham se amaaN na milii,
hum logoN ne ishQ eejaad kiya..
Kabhi shahr E bataaN me kharaab phire,
kabhi dasht E junuN aabaad kiya..
Kabhi bastiyaaN ban, kabhi koh O daman,
raha kitne dinoN yahi ji ka chalan,
JahaaN husn mila wahaaN baith rahe,
jahaaN pyar mila wahaN saad kiya..
Shab E maah me jab bhi yeh dard utha,
kabhi bait kahe, likhi ‘Chand Nagar’
Kabhi koh se jaa sar phoR mare,
kabhi Qais ko jaa ustaad kiya..
Yahi ishq bil-aakhir rog banaa,
K hai chaah k saath bijog banaa,
Jise ban_na tha aish woh sog banaa,
BaRa man ke nagar me fasaad kiya..
Ab qurbat O sohbat E yaar kahaaN,
lab O aariz O zulf O kinaar kahaN,
Ab apna bhi ‘Meer’ sa aalam hai,
Tuk dekh liya, ji shaad kiya...
hum logoN ne ishQ eejaad kiya..
Kabhi shahr E bataaN me kharaab phire,
kabhi dasht E junuN aabaad kiya..
Kabhi bastiyaaN ban, kabhi koh O daman,
raha kitne dinoN yahi ji ka chalan,
JahaaN husn mila wahaaN baith rahe,
jahaaN pyar mila wahaN saad kiya..
Shab E maah me jab bhi yeh dard utha,
kabhi bait kahe, likhi ‘Chand Nagar’
Kabhi koh se jaa sar phoR mare,
kabhi Qais ko jaa ustaad kiya..
Yahi ishq bil-aakhir rog banaa,
K hai chaah k saath bijog banaa,
Jise ban_na tha aish woh sog banaa,
BaRa man ke nagar me fasaad kiya..
Ab qurbat O sohbat E yaar kahaaN,
lab O aariz O zulf O kinaar kahaN,
Ab apna bhi ‘Meer’ sa aalam hai,
Tuk dekh liya, ji shaad kiya...
0 comments:
Post a Comment